*U read - Abhi shocked from Daya's past that he brought up in Mamta foundation nd than Daya's teacher get killed when it was revealed that he is behind all those murders…dn Daya broke up nd hurt badly…Abhi found anger for himself in Daya's behaviour but he didn't express it*
Abb age -
Daya nd Abhi came from funeral of Raghuvendra…dn Daya looks so upset, broken….sitting on sofa…looking outside window…
Abhi looking at him dn he understand very well that soon he will be fine…bas he needs some time…but it was not possible for him to leave his best buddy like this…
Abhi sit beside him - Daya…
Daya look at him with tears in his eyes - Abhi…main...main theek hu…
Abhi smiles a bit nd than bite his lip - Daya…tu thori rest karlo…achha feel hoga tumhe…
Daya turned around him in anger - Abhi…main kaha na m fine…aur kyu karu main koi bimaar hu…
Abhi softly - are nai… nai Daya…bimaar ho tumhare dushman…main to bas aise hi…naraaz kyu hota hai yaar…
Daya rub his hand on face - main theek hu aur…kuch der akela…nd he get up nd move towards his room with tears in his eyes…
Abhi - shayad mujhe Daya ko akela chod dena chahye…dn he didn't stop him…dn seeing Daya going upstairs nd saw till he enters his room…dn shut the door hardly…which feels Abhijeet on his heart…
Abhi's POV - main jaanta hu Daya…tu is waqt bahut dukhi hai…toota hua hai…aur shayad…shayad mujhse naraaz bhi hai…teri naraazgi main samjhta hu Daya…aur tu apni jagah sahi bhi hai…lekin main…main bhi kannon ke haathon majboor tha Daya…agar main us waqt action nahin leta to shayad Raghuvendra Muskaan ko maar daalta…aur phir usne itni ladkiyon ko mara bhi to hai…bhale kaaran koi bhi ho…lekin…tha to wo mujrim hi….aur mujhe…mujhe koi afsoos nahin hai apne bartaav par… maine wahi kiya jo ek CID officer ko karna chahye apni aur baakiyon ki defence mein…
Nd he look towards his room - dekhta hu kab tak naraaz rehta hai mujhse tu…nd he look at time…8 baj rahe hain…fresh ho jau phir dinner bhi ready karna hai…nd he move towards his room…
In room -
Daya sitting on bed holding his school picture in hands in which he is sitting with his Raghuvendra Sir…
Daya crying - kyu kiya…kyu kiya Sir aapne aisa…sirf ek baar apne bachhon ke liye soch lete Sir… apke bina kaun dega unhe pita ka pyar…ek baar…ek baar mujhse keh kar to dekhte…main sab theek kar deta Sir…nd he wipe his tear…
Mujhe achhi tarah yaad hai Sir…jab main bimaar pad gya tha to aapne kaise saari raat jag jag kar mere maathe par pattiyan rakhi thi…kisi bhi bachhe ko kuch bhi ho jata tha to aap…aap kaise uske liye din raat ek kar dete the…dn he wipe his tear…lekin abb…abb kaun dekhega unhe…nd he burst into tears…
Abhi listening his cry outside door…he listen all what Daya said…
Abhi's thinking -m sorry Daya…main teri koi help nahin kar saka yaar… maaaf karde mujhe…nd he bite his lip…listening Daya's sobbing…samjh nahin ata Daya ke paas jau ya nahin…lekin ye bhai sahab mujhse bhi to naraz hai...aur shayad iska naraaz hona banta bhi hai…aaj maine kaise bureau mein behave kiya iske saath…aur phir Raghuvendra kood gya…Daya ko to yehi lag rah hoga ke main in charge tha to mere action lene ki wajah se usne aisa kiya…dn he took sigh..
lekin main Daya ko aise rote huae bhi to nahin dekh sakta…so he open the door slowly…saw he was wiping his tears nd sitting cuddling cushion…nd he enter inside…
Daya move his face behind nd see him…n wipe his face with hand fastly - boss….boss tum…kya hua…koi kaam tha…
Abhi smiles nd goes close to him dn look ta his face - aaj ke pehle kya hamesha kaam se tere paas ata hu Daya…
Daya turn his face down…nd tear fall again from his eye…
Abhi move more close to him nd place his hand on head nd Daya hug him nd again burst out again…
Abhi rubbing his hand on his head…bit relaxed from his behaviour…he place his hand on Daya's face than….
Daya sobbing - Abhi…main….mujhe…mujhe apne maa baap…maa baap ki shakal yaad nahin…Sir ne…Sir ne kabhi kabhi unki kami mehsoos hone hi nahi di thi…
Abhi feel bad for him how he is explaining…nd he is nodding his head in yes nd speak softly - haan…haan Daya…
Daya continues - hamesha hamara khyaal rakhte the…apne bachhon… bachho se badkar…badkar pyar diya unhone hame… lekin... lekin main unke liye kuch nahin kar paya…kuch nahin kar paya Abhi…nd he cried holding Abhi's hand tightly…
Abhi too had tears in his eyes now on seeing Daya's condition...he than sit beside him nd wrap his arms around him…Daya hugged him tightly as he was very scared nd broken….nd shed all tears on his shoulder…Abhi was rubbing his hand on his back to soothe him - bas…bas Daya… bas… chup ho ja bachha…nd he place his hand on his head…Daya feels relax nd stop after sometime…nd they seprate from hug…
Daya now feel relax but embarrass - m…m sorry Abhi…m sorry…main thora jazbaati… nd he turn his face downward…
Abhi smiles - Daya…tu mujhse sorry bol raha hai apne Abhi se…kya ho gya tujhe…hain…dost ke kandhe par sar rakhkar rona koi gunah hai kya…jo tu sorry bol raha hai…
Daya feel better but still not looking at him nd change his tone in anger - waise...waise mujhe bahut gussa tha tum par…pata nahin kyu…maine socha tha main nai rouga tumhare saamne chahe jo bhi ho jaye…lekin…
Abhi smiles on his cute words nd thinks - Daya…kya karu main tera yaar…teri shikayton par bhi mujhe pyar ata hai…tu hai hi itna pyara…dikha tu gussa raha hai lekin phir bhi itna cute lag raha hai…. main jaanta hua tu naraaz hai mujhse…lekin teri naraazgi bhi sar aankhon per mere dost…lekin is waqt agar main tujhse apne tarike mein baat karuga to tujhe aur bura lagega…ise pyar se hi sambhalna padega…so he continues…
Abhi - koi baat nahin Daya…main….main jaanta hu tu mujhse naraaz hai aur tera naraz hona banta bhi hai…main hu hi aisa... kya karu…jab farz ki baari ati hai to mujhe koi nahin dekhta…chahe koi bhi ho…
Aaj…aaj dekh maine bureau mein kaise aur kitna daanta bina ye soche ke tu mera itna pyara sa…chota bhai hai…mujhe tujhse pyar se poochna chahye tha sab…lekin nahin…main to pakke police wale ki tarah pooch raha tha tujhse…ye soch kar ke main to Sr. Inspector Abhijeet hu…main to kisi se bhi kaise bhi bol sakta hu…nd he look at Daya's face who was feeling bit happy on seeing Abhijeet talking bad about himself…Abhi relax a bit that he is going in right way so he continues - mujhe sach mein akal nahin hai Daya…ke apne doston se kaise baat karni hai…lekin abb maine soch liya hai jo bhi ho…no gussa…sirf pyar…
Daya interrupts showing anger - phir to pakad liye tumne criminals…nd *Abhi's face delighted with winning smile as yehi to wo chahta tha*
Abhi speaking normally - are nai Daya…insaan pyar se kya nahin kar sakta…maine to abb soch liya hai ke sirf pyar se pesh aouga sabse…
Daya - Abhijeet tumhare isi gusse ki wajah se to tum alag ho…sab tumhe itna chahte hai….yehi to pechaan hai tumhari…agar yehi tumne chod diya to tum…tum bhi meri tarah sentimental fool ban jaoge…jo main bilkul nahin chahta…
Abhi smiles looking at Daya - theek…theek hai Daya…agar tum aisa chahte ho to aisa hi sahhi…lekin…I promise…main kabhi bhi…tumse aisa baat nahin karuga…jaise aaj ki…kabhi nahin…
Daya again come in anger on thinking that interrogation room - haan…ye tum...tum theek keh rahe ho…tumhe mujhse aise baat nahin karni chahye kabhi…nd he turn his face to other side showing anger…
Abhi raises his eyebrow nd speak in agree tone - haan Daya…nahin karni chahye this aise baat…nd he place his hand on Daya's shoulder - lekin bata sakte ho kyu…he look ta Daya in questioning manner…
Daya turn his face towards him nd he place his finger on himself - kyu ke main Daya hu…Daya…aur sab ko lagta hai ke main tumhara bahut achha dost hai…aur mujhe bhi yehi lagta hai…aur ek dost hone ke naate tum mere se aise baat nahin kar sakte…agar main tumhari jagah hota to kabhi nahin karta…
Abhi get up nd hold his ears - nai karuga mere bachhe...kabhi nahin karuga…khush…
Daya look at him nd smiles - haan khush hu…
Abhi hold his hand to make him stand - chal abb khada ho aur ek hug de mujhe…phir hum khana banate hai dono milke…
Daya get up nd hug him tightly…nd Abhi was happy that he get succeed in diverting his mind nd make him smile…
Author's note -
Thanks for reading this…
Thanks - Anjali, Duo my love, RB, Kirti, Kirti Jha, Srija, Cid lovers, Jyoti, cid rocks nd all guests…
Thanks to those too in advane jo baad mein likhenge - sorry for reviewing late:P I know u will review when u get time…
Hope u all like it too… please review for this too…take care.