In last chapter -
Abhi dn Daya did some masti nd fought on coffee…Tarika's friends visit her for first time after her wedding where they tease her for adjusting with 3rd person i.e Daya in their home as she was a Free girl before marriage nd always want to live Free nd independent life with her hubby…Tarika got angry on them when they speak bad for Daya but somehow she tolerates…unfortunately Daya listen all this then he came to kitchen to prepare coffee…but he move empty hands towards room where Abhi was waiting for him…after that they slept in their respective rooms nd Abhi get up after sometime dn move towards Daya's room in order to give him medicine but shocked to see Daya was not there…dn his phone rings…
Abb age -
Abhi - hello?
Daya mere paas hai…
Abhi narrow his eyes - kya Daya tumhare paas…bahar itni baarish ho rahi hai…upar se typhoid hua hai use… wo kya… kar kya raha hai is waqt wahan…he speaks in anger mixed with worried tone…
Relax Abhijeet…Daya is safe here…don't worry ok…he speaks in concern tone…
I know Sameer…lekin...
Sameer - lekin kya Abhijeet…
Abhi - main lene ata hu use abhi…kahin jaane mat dena…he speaks in hurry tone…
Sameer - Abhi…Abhi…relax…is waqt use yehi rehne do…tum kal hospital ana…wahan baat karenge hum…
Abhi narrows his eyes - sab theek to hai na Sameer…wo theek hai…
Sameer - Abhi…tum jaante ho Daya ko kya hua hai…he speaks in understanding tone…
Abhi - nahin…main nahin jaanta…he speaks biting his lip…
Sameer - Abhi…sab theek ho jayega…use kuch waqt do…thori der akela rehna theek hai uske liye…
Abhi - hmmm…shayad tum theek keh rahe ho…kal milta hu tumse… Good night.
Sameer - ok Good night Abhi…nd he cut the phone…
Tarika get up due to disturbed sleep nd looked at tensed Abhi who was thinking something - Abhi…Abhi…she speaks placing hand on his shoulder when he didn't respond her…
Abhi - haan…kuch kaha tumne Tarika…he speaks looking at her…
Tarika place hand on his cheek nd than sat beside him - tum theek ho…dn she look at his hand holding cell - kis se baat kar rahe the tum…
Abhi bite his lip - kisi se nai…so jao tum…
Tarika - Abhi…plz batao na kya baat hai…she tries to take phone from his hand - dikhao mujhe…
Abhi holds phone tightly nd get up - are…kuch nahin Tarika…so jao tum…bahut raat ho gyi hai…he speaks patting his cheek…
Tarika give a naughty look to him - Abhiiii…kahin tumhari koi girlfriend to nahin hai na…
Abhi laughs a bit - oh c'mon jaan…itni pyari si biwi ke hote huae kaun kambakhat girlfriend ka sochega…he speaks changing his tone...nd move towards drawer…
Tarika looking at him - Abhi…tum mujhse jhooth nahin bol sakte…she move towards him nd wrap her arms from behind to his chest…
Abhi thinking - Tarika ko is waqt Daya ke bare mein batana theek nahin...pata nahin kya sochegi…he hold her hands nd face towards her nd cupped her face in his hands - haan jaan…thora pareshaan hu…lekin itna bhi nahin ke tumhe pareshaan hona pade…
Tarika smiles - pareshaan main nahin tum ag rahe ho…lekin agar tum itna hi keh rahe ho to maan leti hu ke kuch nahin hai…nd she rested her head on his chest…dn closes her eyes…
Abhi rub hand on her hairs - so jaate hain jaan…bahut raat ho gyi hai…
Tarika move her face dn look into his eyes nd again rested her head on his chest nd wrapping her arms around him - Aaj Abhijeet ne mujhe achhe se hug bhi nahin kiya…wo sach mein pareshaan hai…zarur koi baat hai…lekin main force nahin karugi… mujhe achha lagega agar tum khud mujhe bataoge…dn she tighten him more…
Sameer's home -
Daya sitting on corner of bed…looking outside…
Sameer knocks the door nd enter inside nd sat beside him but he was unaware of his presence - kya soch rahe ho Daya…he speaks place hand on his shoulder…
Daya came out of thoughts dn jerk…move his face towards him - Sameer tum…soye nahin abb tak…
Sameer smiles - nahin…main late sota hu…adaat nahin hai jaldi sone ki…
Daya smiles - mujhe bhi neend nahin ayi…
Sameer smiles a bit - Daya…tumhe araam karna chahye is waqt…raat kaafi ho gyi hai…
Daya - haan lekin mujhe neend nahin a rahi…he speaks getting irritated…
Sameer - medicine khayi tumne…
Daya - khata hu abhi…nd he turn his face downward…
Sameer - Daya…tum Abhi ko batakar kyu nahin aye…he speaks in questioning tone?
Daya - Sameer…zaruri to nahin ke main har baar Abhi ke ijazaat leke ghar se niklu…meri apni bhi life hai…m not a kid…he speaks in angry tone…
Sameer smiles nd get up - I know u r not a kid Daya…lekin tum achanak se ek din mein bade kaise ban gaye…
Daya give him sad look - Sameer plzzzz…tum bhi…mujhe abhi koi baat nahin karni…aur agar tumhe mere yahan rehna se problem hai to main abhi chala jata…
Sameer interrupts with anger - Daya…agar main tumse kuch pooch raha hu iska ye matlab nahin ke main tumhe yahan dekhkar khush nahin hu…
Daya - m…m sorry yaar…wo…he apologies on realizing his mistake…
Sameer pat his shoulder - its ok Daya…I understand…aur mujhe lagta hai abhi tumhe so jana chahye…he move towards chest nd pour water in glass nd move towards Daya - ye lo…medicine kha lo apni…
Daya irritates - main kha loonga Sameer…
Sameer strictly - abhi ke abhi khao…mere saamne…
Daya hold glass from his hand n remove medicine from his bag nd swallow it - kha li…abb khush…
Sameer smiles - so jao abb…Gud night…
Daya - gud night Abhi…I…I mean…
Sameer - its ok…plz don't say sorry again…Gud night…nd he left the room…
Next day CID Bureau -
Abhi sat in sad mood on his respective chair…he was not concentrating on his work today nd everyone was sad too on see him like this - Daya… pata nahin kya hua achanak se use…aise kaise chala gya…kal jab baat ki…coffee banana gya…tab to theek tha…achanak se kya hua hoga…nd he bite his lip…
ACP was watching him carefully since he came there…nd he knew very well that something is not going well between their two officers…first he was avoiding to talk with Abhi on this matter as when he ask for Daya…he didn't give satisfactory answer to him…nd on seeing him sitting sadly he became sure that there is fishy something…so he decided to talk to him…he call him in his cabin…
Abhi knocking his door - May I come in Sir…
ACP - are ao Abhijeet…baitho…he speaks signalling him towards chair…
Abhi - Thank you Sir…he speaks while sitting on chair…kahiye Sir…
ACP rested himself on back nd holding paperweight in his hand - Abhijeet…pichle kuch dino se main tum dono ke beech ka tanaav mehsoos kar raha hu...
Abhi shocked first but immediately changes his expressions to normal -nai…nai Sir…aisa kuch nahin hai…he tries to show himself normal with fake smile…
ACP smiles - Abhijeet…tumhe lagta hai ke tum mujhse kuch chupa sakte ho…saalon se tum dono ko jaanta hu…tumhare chehre ke ek ek expression ko achhi tarah parh sakta hu main…
Abhi smiles a bit as he get caught…
ACP smiles too - dekho Abhijeet…main nahin jaanta ke tumhare aur Daya ke beech kya hua…lekin jo bhi hai…use sort out karo…tum dono saalon se ek saath reh rahe ho…ek doosre ko achhi tarah samjhte ho…wo tumse chota hai…lekin tum to samajhdaar ho… bade ho…tumhe har choti choti baat ka khyaal rakhna chahye…kai baar hamare aankhon ke saamne hi sab ho raha hota hai lekin hame dikhayi nahin deta…tum use dekhna ki koshish karo ke kya choot raha hai tumse…
Abhi feels better - aap theek keh rahe hain Sir…main koshish karuga… aap fikar mat kijiye…jald hi sab theek ho jayega…
ACP smiles - all the best Abhijeet…umeed karta hu tum sab sambhaal loge…
Abhijeet get up from chair - Thanku Sir…nd he left the room…
2 pm - BUREAU -
Tarika - Abhijeet…chalo lunch karte hain…
Abhi - nai Tarika…mera mann nahin hai…mujhe ek kaam hai…thori der mein ata hu…nd he was about to move from there…
Tarika - lekin Abhijeet…jana kahan hai…aur subah se main pooch rahi hu…tumne bataya nahin Daya kahan hai…
Abhi smiles a bit to make her comfortable - Daya Sameer ke ghar hai…
Tarika shocked - kya Sameer ke ghar…wo theek to hai na…
Abhi - haan theek hai jaan…kisi kaam se gya hai…
Tarika suspects again nd narrow her eyes -
Abhi smiles a bit - ghabrao mat jaan…main kisi ladki se milne nahin ja raha…Sameer ke paas ja raha hu…just chill…
Tarika - Abhiiiiii…she speaks in worried tone as she suspects he is hiding something from her….
Abhi laugh - sorry sorry…chalta hu…he left patting her cheek…
3 pm - Hospital -
Abhi sitting on chair - Sameer…Daya kaisa hai…use fever to nahin hua…
Sameer - Abhijeet relax…he is fine…
Abhi took sigh - thank God…pauses for a minute - usne kuch kaha tumse?
Sameer - Abhijeet kal jab wo aya to bahut pareshaan lag raha tha…thora sa ghabraya hua…jaise use kisi baat ka dar ho…fever bhi tha use…
Abhi narrow his eyes - kya? itni baarish mein wo ghar se nikla…kya chal raha hai uske ander…mujhe samajh nahin a raha ke use achanak se hua kya hai…wo kuch dino se ajeeeb behave kar raha hai…main samjh nahin pa raha hu yaar…Daya pehle se badal gya hai…he speaks in sad tone…
Sameer - Abhijeet…tum mujhe batao…kal kuch hua tha ghar mein… kuch alag…
Abhi bite his lip - kuch alagggg…nai to aisa to kuch nahin hua…he speaks after thinking…
Sameer raises his eyebrows - r u sure…nai hua…koi ghar mein aya ho?
Abhi - aya…haan yaar Tarika ki friends ayi thi us se milne…shaadi ke baad pehli baar mili Tarika unse…kaaafi achha time spent kiya teeno ne kal…apne college time ko yaad karke…aur to kuch nahin hua…lekin baat kya hai…
Sameer took sigh - Abhijeet…plz tum tension mat lena…main tumhe kuch batanne ja raha hu…kal neend mein Daya bechain tha…bol raha tha Abhi mujhe door ho jayega…main use pareshaan nahin karuga… door chala jaunga uski zindagi se…
Abhi shocked - kya…aisa kaha usne…he speaks sadly…
Sameer - Abhi plz relax…mujhe lag raha hai ke Daya nahin chahta ke uski wajah se tum dono ki married life mein koi problem aye…
Abhi - kya keh rahe ho Sameer…Daya aisa kyu sochega…aisa kuch nahin hai yaar…Daya mera hi nahin Tarika ka bhi dost hai…wo uska chote bhai jaise khyaal rakhti hai…
Sameer - main jaanta hu Abhijeet…tarika bahut samjhdaar hai aur rishton ko nibhana bakhoobi jaanti hain wo…lekin kayi baar choti si baat se bahut badi misunderstanding create ho jaati hai…
Abhi bite his lip - Sameer…tumhe kya lagta hai…plz saaf saaf batao kya kehna chahte ho tum…
Sameer - saaf saaf to main bhi nahin jaanta ke kya hua hai Abhijeet…bas itna jaanta hu ke Daya ke dil mein koi baat baith gyi hai…uske chehre par tumse door hone ka dar saaf dikh raha hai…use lag raha hai ke tum us se bahut door chale gaye ho…aur shayad wo tum dono ko pareshaan nahin karna chahta…
Abhi - Sameer…main Daya se abhi milta hu…wo ghar par hi hoga na…
Sameer - haan ghar mein hai…lekin maine jo bhi kaha tum us se kuch nahin kahoge…use normally treat karoge…jaise pehle mila karte the waise hi miloge…
Abhi bite his lip - main to use ghar lana…
Sameer - Abhijeet main samjh sakta hu tum kitna pareshaan ho uske liye...lekin is waqt hame samjhdaari aur patience se is maamle ko handle karna hoga…behtar hoga agar thore din Daya ko tum mere paas rehne do…achha hoga agar wo khud wapis aye tumhare paas…
Abhi took sigh - shayad tum theek keh rahe ho Sameer…yehi karna behtar hoga is waqt…lekin…dn he stops…
Sameer smiles - lekin kya Abhijeet…tum…milna chahte ho us se?
Abhi bite his lip - haan ek baar milkar…gale se lagana chahta hu…
Sameer - to mil lo…kisne roka hai…but…
Abhi narrow his eyes - but?
Sameer - subah Daya ne kaha tha ke kuch dino tak wo kisi se milna nahin chahta…usne ACP Sir ko phone bhi kiya tha…chutti ke liye…bola tha tabyat kharab hai…shayad unhone tumhe bataya hoga…
Abhi understands that what was reason behind ACP's suggestion to him…ohhh to usne chutti maangi hogi Sir se…aur mujhe maloom tak nahin…
Sameer -Abhi…Abhii…kahan kho gaye…dn at same time canteen boy bring coffee which Sameer ordered before…he place that on table dn leave the room…
Abhi came out of thoughts - haan…kuch…kuch kaha tumne…
Sameer - maine kaha ke fikar mat karo…Coffee pio…sab theek ho jayega…
Abhi smiles - tum kehte ho to maan leta hu yaar…bas umeed karta hu sab theek ho jaye…
Sameer - ho jayega Abhijeet…aur waise bhi yaar…mujhe lagta hia ye sab fever ka asar hai…bimari mein aksar insaan chidchida ho jata hai…kuch bhi keh do use lagta hai sab uske dushman hain…is liye thora dheeraj rakho sab theek ho jayega…he speak sipping coffee - aur batao… tumhari job kaisi chal rahi hai…
Abhi - job to first class chal rahi hai…is waqt to mera dhyaan sirf Daya ki taraf hi hai…waise tum theek keh rahe ho…yaar ise na bachhon ki tarah handle karna padta hai…pata nai kaun si baat dil se laga le…tumhe maloom hai ek baar…nd he stop with a smile on his face with little sadness…looked lost again…
Sameer smiles - chah kar bhi Abhijeet Daya se dhyaan hata nahin pa raha hai…ghoom phir kar Daya par a jata hai…I bet Daya bhi zayda der door nahin reh sakega aur Abhi ke paas wapis chala jayega…he speaks - Abhijeet…agar tumhara itna dil kar raha hai to mil aao Daya se…I know wo bhi ander se yehi chahta hoga…
Abhi bite his lip after think something - nai Sameer…main nahin jaunga abb…main bhi abb use thora waqt dena chahta hu…tum bas uska khyaal rakhna…
Sameer smiles - zarur rakhuga…agar tum na bhi kehte to bhi rakhta…
Abhi - main jaanta hu yaar…tumhe kehne ki zaroorat nahin hai lekin phir bhi…
Sameer smiles - phir bhi dil hai ke manta nahin…he speaks in little humorous manner…tum tension mat lo itni plzzz…
Abhi feels little better - theek hai…nahin leta…nd he look at time… chalta hu… nd eh get up- mujhe ek kaam hai…raat ko baat karta hu tumse…
Sameer too get up nd forward his hand - ok…see u soon…take care
7pm -
Abhi sitting in Qualis outside Sameer's house - Daya ander hoga… pata nahin kya kar raha hoga is waqt… kya karu…ander jau ya nahin… lekin maine Sameer ko kaha ke itni jaldi abb nahin milunga… mujhe nahin jana chahye…lekin agar nahin gya to Daya kya sochega…ke mujhe uska khyaal hi nahin aya…nd he bite his lip nd came out of Qualis than move towards gate…but stop there again - nahin…main nahin jaunga nd he move his steps back nd sit inside nd remove cell from his pocket - baat… baat karta hu Daya se…dekhta hu phone uthata hai ya nahin…nd he dial his number - ring to ja rahi hai…lekin phone kyu nahin utha raha… shayad so raha hoga…dn he check the time - lekin is waqt…dn he cut the phone…his worry increases nd he dial's Sameer's number…he pick up the phone…
Sameer - haan Abhijeet…kya hua…u ok?
Abhi - main…main theek hu yaar…Daya…Daya phone nahin utha raha…
Sameer - to bahar kyu khade ho…ander jakar dekh lo na kya baat hai…
Abhi - bahar…tum…nd he looked around…tum kahan ho?
Sameer knock his door - m here…
Abhi cut the phone nd came out of Qualis…he feels little better on seeing him there - tum peecha kar rahe the…ek CID officer ka peecha…
Sameer - main to apne ghar ja raha tha hazoor…aap hi mere ghar par nazar rakh rahe the…ander chalo Abhijeet…mil lo us se…he speaks in serious tone than…
Abhi too become serious too - nai yaar main to bas…bas tum dekho plz wo theek hai… mujhe fikar ho rahi hai…
Sameer pat his shoulder - dekhta hu…don't worry nd he moves inside in hurry…
After 10 minutes -
Abhi's phone rings - Sameer ka phone…haan Sameer…Daya…
Sameer - wo theek hai…so raha hai wo aur uska phone silent par tha… use pata nahin chala...
Abhi took sigh - Thank God…thanks yaar…chalta hu main…bye…
Sameer - Bye Abhi…nd he cut the phone nd move toward Daya's room…
Daya was sitting on bed holding phone in his hands nd looking at his pics with Abhi…
Sameer look at him - Daya…isne Abhi ka phone kyu nahin uthaya… kitna pareshaan tha wo…is waqt mujhe shayad baat nahin karni chahye…raat ko dekhta hu…nd he move towards his room…
9 pm -
Sameer - dinner ready hai…Daya ko bulata hu…dn he move towards his room…
Daya holding pillow in his arms - Abhii…main nahin chahta ke tumhe ya Tarika ko meri wajah se kabhi koi pareshaani ho…agar main saath rahuga to shayad tum dono ke beech bhi dooriyan a jayenge jo main kabhi nahin chahta…aaj nahin to kal shayad tum logon ko mera saath rehna khatkega…phir dooriyan zayda badhegi…is se achha main khud peeche hat jau…lekin…bas mujhe dukh is baat ka hai ke tumhe meri ek baar bhi yaad nahin ayi…tum mujhe milne bhi nahin aye nd he wipe tears that were rolling over his cheeks…mujhe laga tha tum mujhe wapis lene aoge…lekin nahin…saara din main tumhe yaad karke rota raha… lekin tumne bas ek formality ke liye phone kiya mujhe…tum bhi shayad yehi chahte ho ke main tumse door rahu…agar aisa hai to yehi sahi Abhi… main abb tumse door chala jaunga…nahin aounga wapis…nd he burst out in tears…
Author's note -
Thanks a lot for reading this…reviewing on previous chapters nd waiting for so long…
Love u all…take care.
Kd.